Subh Tak Main Sochta Hun Sham Se
subh tak main sochta hun sham se
ji raha hai kaun mere nam se
shahr mein sach bolta phirta hun main
log KHaif hain mere anjam se
raat bhar jagega chauki-dar ek
aur sab so jaenge aaram se
sau baras ka ho gaya mera mazar
ab nawaza jaun ga inam se
sath launga thakan be-kar ki
ghar se bahar ja raha hun kaam se
nam le us ka safar aaghaz kar
dur rakh dil ko zara auham se
zindagi ki dauD mein pichhe na tha
rah gaya wo sirf do ek gam se
(831) Peoples Rate This