Pain Har Ek Rah-guzar Par Udasiyan
pain har ek rah-guzar par udasiyan
nikli hui hain kab se safar par udasiyan
KHwabida shahr jagne wala hai lauT aao
baiThi hui hain sham se ghar par udasiyan
main KHauf se larazta raha paDh nahin saka
phaili hui thin ek KHabar par udasiyan
suraj ke hath sabz qabaon tak aa gae
ab hain yahan har ek shajar par udasiyan
apne bhi KHatt-o-KHal nigahon mein ab nahin
is tarah chha gai hain nazar par udasiyan
phaila raha hai kaun kabhi sochta hun main
KHwabon ke ek ek nagar par udasiyan
sab log ban gae hain agar ajnabi to kya
chhoD aaengi mujhe mere dar par udasiyan
(939) Peoples Rate This