Naqsh Pani Pe Bana Ho Jaise
naqsh pani pe bana ho jaise
zindagi mauj-e-bala ho jaise
mujh se bach bach ke chali hai duniya
mere nazdik KHuda ho jaise
koi tahrir mukammal na hui
mujh se har lafz KHafa ho jaise
kis qadar shahr mein sannaTa hai
ab ke koi na bacha ho jaise
is tarah puj rahi hai duniya
koi mujh se bhi baDa ho jaise
rah milti hai andheron mein mujhe
koi masruf-e-dua ho jaise
mujh ko aksar ye hua hai mahsus
koi kuchh puchh raha ho jaise
ghar se is tarah nikal aae 'amir'
koi dushman na raha ho jaise
(903) Peoples Rate This