Nadi Ke Par Ujala Dikhai Deta Hai
nadi ke par ujala dikhai deta hai
mujhe ye KHwab hamesha dikhai deta hai
baras rahi hain aqidat ki badliyan lekin
shuur aaj pyasa dikhai deta hai
charagh-e-manzil-e-farda jalaega ek roz
wo rahgir jo tanha dikhai deta hai
teri nigah ne halka sa naqsh chhoDa tha
magar ye zaKHm to gahra dikhai deta hai
kisi KHayal ki mishal kisi sada ka charagh
har ek samt andhera dikhai deta hai
'amir' puchh raha hun gham-e-zamana se
hamare ghar mein tujhe kya dikhai deta hai
(924) Peoples Rate This