Na Puchh Manzar-e-sham-o-sahar Pe Kya Guzri
na puchh manzar-e-sham-o-sahar pe kya guzri
nigah jab bhi haqiqat se aashna guzri
hamare waste virani-e-nazar har su
hamin ne dasht sajae hamin pe kya guzri
na jaane kaisi haqiqat ka aaina hun main
nazar nazar mere nazdik se KHafa guzri
ye zard ho gae kaise hare bhare ashjar
jo log sae mein baiThe the un pe kya guzri
ghurub hoti rahin us ki nekiyan din mein
har ek raat gunahon ki be-saza guzri
jala raha tha sar-e-sham mishalen koi
tamam raat ulajhti hui hawa guzri
na dekh paoge be-manzari ujalon ki
ye raat Dhalne lagi to koi sada guzri
(821) Peoples Rate This