Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_970480617de3e57fdbdce6bb7ac33f71, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Haal Par Mehrbani Kare - Ameer Qazalbash Poetry In English - Darsaal

Mere Haal Par Mehrbani Kare

mere haal par mehrbani kare

KHuda se kaho hukm-e-sani kare

main ek bund pani baDi chiz hun

samundar meri pasbani kare

paDhen log tahrir-e-diwar o dar

KHulasa meri be-zabani kare

azal se main us ke taaqub mein hun

jo lamha mujhe ghair-fani kare

wo baKHshe ujale kisi subh ko

koi sham raushan suhani kare

mere sae mein sab hain mere siwa

koi to meri saebani kare

koi hai jo baDh ke uTha le 'amir'

wo tesha jo patthar ko pani kare

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Haal Par Mehrbani Kare In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Mere Haal Par Mehrbani Kare is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Mere Haal Par Mehrbani Kare for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Mere Haal Par Mehrbani Kare in PDF.