Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6703a49a9f7e44cb2a4faf7e2731b94d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Log Bante Hain Hoshiyar Bahut - Ameer Qazalbash Poetry In English - Darsaal

Log Bante Hain Hoshiyar Bahut

log bante hain hoshiyar bahut

warna hum bhi the KHaksar bahut

ghar se be-tesha kyun nikal aae

raste mein hain kohsar bahut

tujh se bichhDe to ai nigar-e-hayat

mil gae hum ko gham-gusar bahut

hath shal ho gae shanawar ke

ab ye dariya hai be-kanar bahut

hum faqiron ko kam nazar aae

is nagar mein the shahryar bahut

us ne majbur kar diya warna

hum ko KHud par tha iKHtiyar bahut

hum hi apna samajh rahe the use

ho gae hum hi sharmsar bahut

(1573) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Log Bante Hain Hoshiyar Bahut In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Log Bante Hain Hoshiyar Bahut is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Log Bante Hain Hoshiyar Bahut for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Log Bante Hain Hoshiyar Bahut in PDF.