Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_da531e97b237bf38c3540f304f07ed53, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kya KHaridoge Chaar Aane Mein - Ameer Qazalbash Poetry In English - Darsaal

Kya KHaridoge Chaar Aane Mein

kya KHaridoge chaar aane mein

aqlmandi hai ghar na jaane mein

tabsira kar rahe hain duniya par

chand bachche sharab-KHane mein

pursish-e-haal kar rahe hain log

kya bigaDta hai muskurane mein

ai musawwir ye surKH-ru chehra

aisi taswir is zamane mein

ghar mein andher kar gaya koi

der kar di charagh lane mein

chhup ke baiThi hui hai maut kahin

zindagi tere shamiyane mein

be-libasi nasib hai us ka

KHwab bunta hai kar-KHane mein

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya KHaridoge Chaar Aane Mein In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Kya KHaridoge Chaar Aane Mein is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Kya KHaridoge Chaar Aane Mein for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Kya KHaridoge Chaar Aane Mein in PDF.