Jaane Ye Kis Ki Banai Hui Taswiren Hain

jaane ye kis ki banai hui taswiren hain

taj sar par hain magar panw mein zanjiren hain

kya meri soch thi kya samne aaya mere

kya mere KHwab the kya KHwab ki tabiren hain

kitne sar hain ki jo gardan-zadani hain ab bhi

hum ki buzdil hain magar hath mein shamshiren hain

chaar jaanib hain siyah raat ke sae lekin

ufuq-e-dil pe nai subh ki tanwiren hain

us ki aankhon ko KHuda yun hi salamat rakkhe

us ki aankhon mein mere KHwab ki tabiren hain

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Ye Kis Ki Banai Hui Taswiren Hain In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Jaane Ye Kis Ki Banai Hui Taswiren Hain is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Jaane Ye Kis Ki Banai Hui Taswiren Hain for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Jaane Ye Kis Ki Banai Hui Taswiren Hain in PDF.