In Sarabon Se Guzarne De Mujhe

in sarabon se guzarne de mujhe

ungliyan ret mein bharne de mujhe

jis nadi par na utra koi

us nadi par utarne de mujhe

koi sayyah mujhe DhunDhega

ek jazira hun ubharne de mujhe

yun na be-zar ho itna KHud se

tera chehra hun sanwarne de mujhe

dekh be-manzari-e-manzar ko

kam se kam rang to bharne de mujhe

ru-ba-ru mujh ko kabhi la mere

apne hi aap se Darne de mujhe

shukr kije ki shikayat kije

wo na jine de na marne de mujhe

rah mat rok ki mushkil hai bahut

bahta pani hun guzarne de mujhe

ek aisa bhi shajar ho jo 'amir'

apne sae mein Thaharne de mujhe

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Sarabon Se Guzarne De Mujhe In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. In Sarabon Se Guzarne De Mujhe is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem In Sarabon Se Guzarne De Mujhe for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download In Sarabon Se Guzarne De Mujhe in PDF.