Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8da2ee4216b5de338fae827d101a5d53, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Fikr-e-ghurbat Hai Na Andesha-e-tanhai Hai - Ameer Qazalbash Poetry In English - Darsaal

Fikr-e-ghurbat Hai Na Andesha-e-tanhai Hai

fikr-e-ghurbat hai na andesha-e-tanhai hai

zindagi kitne hawadis se guzar aai hai

log jis haal mein marne ki dua karte hain

main ne us haal mein jine ki qasam khai hai

hum na suqraat na mansur na isa lekin

jo bhi qatil hai hamara hi tamannai hai

zindagi aur hain kitne tere chehre ye bata

tujh se ek umr ki haalanki shanasai hai

kaun na-waqif-e-anjam-e-tabassum hai 'amir'

mere haalat pe ye kis ko hansi aai hai

(1174) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fikr-e-ghurbat Hai Na Andesha-e-tanhai Hai In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Fikr-e-ghurbat Hai Na Andesha-e-tanhai Hai is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Fikr-e-ghurbat Hai Na Andesha-e-tanhai Hai for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Fikr-e-ghurbat Hai Na Andesha-e-tanhai Hai in PDF.