Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_87b32c53877a0fc7876d3eac16c88f0c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Parinda Abhi UDan Mein Hai - Ameer Qazalbash Poetry In English - Darsaal

Ek Parinda Abhi UDan Mein Hai

ek parinda abhi uDan mein hai

tir har shaKHs ki kaman mein hai

jis ko dekho wahi hai chup chup sa

jaise har shaKHs imtihan mein hai

kho chuke hum yaqin jaisi shai

tu abhi tak kisi guman mein hai

zindagi sang-dil sahi lekin

aaina bhi isi chaTan mein hai

sar-bulandi nasib ho kaise

sar-nigun hai ki saeban mein hai

KHauf hi KHauf jagte sote

koi aaseb is makan mein hai

aasra dil ko ek umid ka hai

ye hawa kab se baadban mein hai

KHud ko paya na umr bhar hum ne

kaun hai jo hamare dhyan mein hai

(1892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Parinda Abhi UDan Mein Hai In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Ek Parinda Abhi UDan Mein Hai is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Ek Parinda Abhi UDan Mein Hai for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Ek Parinda Abhi UDan Mein Hai in PDF.