Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cb1aeb3fc61fb6bc0adcf6c0b92a64fa, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Daman Pe Lahu Hath Mein KHanjar Na Milega - Ameer Qazalbash Poetry In English - Darsaal

Daman Pe Lahu Hath Mein KHanjar Na Milega

daman pe lahu hath mein KHanjar na milega

mil jaega phir bhi wo sitamgar na milega

patthar liye hathon mein jise DhunD raha hai

wo tujh ko teri zat se bahar na milega

aankhon mein basa lo ye ubharta hua suraj

din Dhalne lagega to ye manzar na milega

main apne hi ghar mein hun magar soch raha hun

kya mujh ko mere ghar mein mera ghar na milega

guzro kisi basti se zara bhes badal kar

naqshe mein tumhein shahr-e-sitamgar na milega

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daman Pe Lahu Hath Mein KHanjar Na Milega In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Daman Pe Lahu Hath Mein KHanjar Na Milega is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Daman Pe Lahu Hath Mein KHanjar Na Milega for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Daman Pe Lahu Hath Mein KHanjar Na Milega in PDF.