Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_55jn7u3t77p7co8jgqodp8a1p7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaj Ki Raat Bhi Guzri Hai Meri Kal Ki Tarah - Ameer Qazalbash Poetry In English - Darsaal

Aaj Ki Raat Bhi Guzri Hai Meri Kal Ki Tarah

aaj ki raat bhi guzri hai meri kal ki tarah

hath aae na sitare tere aanchal ki tarah

hadsa koi to guzra hai yaqinan yaro

ek sannaTa hai mujh mein kisi maqtal ki tarah

phir na nikla koi ghar se ki hawa phirti thi

sang hathon mein uThae kisi pagal ki tarah

tu ki dariya hai magar meri tarah pyasa hai

main tere pas chala aaunga baadal ki tarah

raat jalti hui ek aisi chita hai jis par

teri yaaden hain sulagte hue sandal ki tarah

main hun ek KHwab magar jagti aankhon ka 'amir'

aaj bhi log ganwa den na mujhe kal ki tarah

(946) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Ki Raat Bhi Guzri Hai Meri Kal Ki Tarah In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Aaj Ki Raat Bhi Guzri Hai Meri Kal Ki Tarah is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Aaj Ki Raat Bhi Guzri Hai Meri Kal Ki Tarah for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Aaj Ki Raat Bhi Guzri Hai Meri Kal Ki Tarah in PDF.