Ya-rab Shab-e-visal Ye Kaisa Gajar Baja

ya-rab shab-e-visal ye kaisa gajar baja

agle pahar ke sath hi pichhla pahar baja

aawaz-e-sur sun ke kaha dil ne qabr mein

kis ki baraat aai ye baja kidhar baja

kahte hain aasman jo tumhaare makan ko hum

kahta hai aaftab durust aur qamar baja

jago nahin ye KHwab ka mauqa musafiro

naqqara tak bhi coach ka waqt-e-sahar baja

tamir maqbare ki hai lazim bajae-qasr

zar-daron se kaho ki karen sarf-e-zar baja

hain hum to shadman ki hai KHat mein payam-e-wasl

baghlen KHushi se tu bhi to ai nama-bar baja

tujh ko nahin jo un se mohabbat kahan mujhe

tali na ek hath se ai be-KHabar baja

nafrat hai ye KHushi se ki ashk apne gir paDe

ham-rah taziya ke bhi baja agar baja

ja-e-qayam manzil-e-hasti na thi 'amir'

utre the hum sira mein ki kos-e-safar baja

(1043) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ya-rab Shab-e-visal Ye Kaisa Gajar Baja In English By Famous Poet Ameer Minai. Ya-rab Shab-e-visal Ye Kaisa Gajar Baja is written by Ameer Minai. Read famous Poem Ya-rab Shab-e-visal Ye Kaisa Gajar Baja for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Ya-rab Shab-e-visal Ye Kaisa Gajar Baja in PDF.