Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bd609edeb1a8971088fdce6594c5c3fb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha - Ameer Minai Poetry In English - Darsaal

Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha

wasl ki shab bhi KHafa wo but-e-maghrur raha

hausla dil ka jo tha dil mein ba-dastur raha

umr-e-rafta ke talaf hone ka aaya to KHayal

lekin ek dam ki talafi ka na maqdur raha

jama kis din na hue mausam-e-gul mein mai-kash

roz hangama tah-e-saya-e-angur raha

gardish-e-baKHt kahan se hamein lai hai kahan

manzilon wadi-e-ghurbat se watan dur raha

rast-bazi kar agar namwari hai darkar

dar se KHalq mein aawaz-e-mansur raha

wo to hai charKH chahaarum pe ye pach mohalle par

sach hai isa se bhi baala tera mazdur raha

fasl-e-gul aai gai sehn-e-chaman mein sau bar

apne sar mein tha jo sauda wo ba-dastur raha

jalwa-e-barq-e-tajalli nazar aaya na kabhi

muddaton ja ke wahan mein shajar-e-tur raha

zulf o ruKH donon hain jaane se jawani ke KHarab

mushk wo mushk na kafur wo kafur raha

ghol-e-sahra ne mera sath na chhoDa shab bhar

le ke mashal kabhi nazdik kabhi dur raha

hum bhi maujud the kal mahfil-e-jaanan mein 'amir'

raat ko der talak aap ka mazkur raha

(1169) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha In English By Famous Poet Ameer Minai. Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha is written by Ameer Minai. Read famous Poem Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha in PDF.