Wada-e-wasl Aur Wo Kuchh Baat Hai
wada-e-wasl aur wo kuchh baat hai
ho na ho is mein bhi koi ghat hai
KHalq nahaq darpai-e-isbaat hai
hai dahan us ka kahan ek baat hai
bosa-e-chah-e-zanKHdan ghair len
Dub marne ki ye ai dil baat hai
ghar se nikle ho nihatte waqt-e-qatl
ye bhi bahr-e-qatl-e-ashiq ghat hai
main ne itna hi kaha banwao KHat
ye bigaDne ki bhala kya baat hai
baad muddat baKHt jage hain mere
baiThe hain sone ko sari raat hai
kya karun wasf-e-butan-e-KHud-pasand
in se baDh kar bas KHuda ki zat hai
baaton baaton mein jo main kuchh kah gaya
hans ke farmane lage kya baat hai
harf-e-matlab saf kah sakta nahin
hai adab mane ki pahli raat hai
mujh se ho izhaar-e-ulfat wah-wa
aap ke farmane ki ye baat hai
ro rahe hain hum mila de lab se lab
mai-kashi ho saqiya barsat hai
zach hai teri chaal se raftar-e-charKH
mohr-e-ruKH se bazi-e-mah mat hai
kaisi kaTti hai siyah-baKHti mein umr
raat se din din se bad-tar raat hai
chheDta hai dil ko kya ai dard-e-hijr
KHud giraftar-e-hazar-afat hai
ai ghani de sim-o-zar waqt-e-bala
mal-e-duniya jaan ki KHairaat hai
gar jagah dil mein nahin phir is se kya
ye doshambe ki ye budh ki raat hai
saf kah de tu yahan aaya na kar
yar ye sau baat ki ek baat hai
laKHt-e-dil hain mere khane ko 'amir'
bas inhin TukDon pe ab auqat hai
(1755) Peoples Rate This