Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_04f35561bd24d3f1fb57334f163e4bd6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Uski Hasrat Hai Jise Dil Se MiTa Bhi Na Sakun - Ameer Minai Poetry In English - Darsaal

Uski Hasrat Hai Jise Dil Se MiTa Bhi Na Sakun

us ki hasrat hai jise dil se miTa bhi na sakun

DhunDne us ko chala hun jise pa bhi na sakun

Dal ke KHak mere KHun pe qatil ne kaha

kuchh ye mehndi nahin meri ki chhupa bhi na sakun

zabt kam-baKHt ne yan aa ke gala ghonTa hai

ki use haal sunaun to suna bhi na sakun

naqsh-e-pa dekh to lun lakh karunga sajde

sar mera arsh nahin hai jo jhuka bhi na sakun

bewafa likhte hain wo apne qalam se mujh ko

ye wo qismat ka likha hai jo miTa bhi na sakun

is tarah soe hain sar rakh ke mere zanu par

apni soi hui qismat ko jaga bhi na sakun

(2113) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Hasrat Hai Jise Dil Se MiTa Bhi Na Sakun In English By Famous Poet Ameer Minai. Uski Hasrat Hai Jise Dil Se MiTa Bhi Na Sakun is written by Ameer Minai. Read famous Poem Uski Hasrat Hai Jise Dil Se MiTa Bhi Na Sakun for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Uski Hasrat Hai Jise Dil Se MiTa Bhi Na Sakun in PDF.