Tera Kya Kaam Ab Dil Mein Gham-e-jaanana Aata Hai
tera kya kaam ab dil mein gham-e-jaanana aata hai
nikal ai sabr is ghar se ki sahib-KHana aata hai
nazar mein teri aankhen sar mein sauda teri zulfon ka
kai pariyon ke sae mein tera diwana aata hai
wafur-e-rahmat-e-bari hai mai-KHwaron pe in rozon
jidhar se abr uThta hai su-e-mai-KHana aata hai
lagi dil ki bujhae bekasi mein kaun hai aisa
magar ek girya-e-hasrat ki be-tabana aata hai
unhin se ghamze karti hai jo tujh par jaan dete hain
ajal tujh ko bhi kitna naz-e-mashuqana aata hai
pareshani mein ye aalam teri zulfon ka dekha hai
ki ek ek baal par qurban hone shana aata hai
chhalak jata hai jam-e-umr apna wae-nakaami
hamare munh talak saqi agar paimana aata hai
wo but hi mehrban sab apna apna haal kahte hain
lab-e-KHamosh tujh ko bhi koi afsana aata hai
tilism-e-taza tera saya-e-diwar rakhta hai
badalta hai pari ka bhes jo diwana aata hai
ye azmat rah ke zahid in buton mein hum ne pai hai
ki kaba hum ko lene ta-dar-e-mai-KHana aata hai
do-rangi se nahin KHali adam bhi surat-e-hasti
koi hoshyar aata hai koi diwana aata hai
huma yun ustuKHwan-e-soKHta par mere girta hai
taDap kar shama par jaise koi parwana aata hai
udhar hain husn ki ghaten idhar hain ishq ki baaten
tujhe afsun to mujh ko use pari afsana aata hai
kaleja hath se ahl-e-tama ke chaak hota hai
sadaf-asa agar mujh ko mayassar dana aata hai
namak jallad chhiDka chahta hai mere zaKHmon par
maze ka waqt ab ai himmat-e-mardana aata hai
zabardasti ka dhaDka wasl mein tum ko samaya hai
kidhar ho hosh mein aao koi aaya na aata hai
ilahi kis ki sham-e-husn se raushan hai ghar mera
ki ban jata hai jugnu aaj jo parwana aata hai
wo aashiq KHal-o-KHat ka hun nazr-e-mor karta hun
mayassar tisare din bhi jo mujh ko dana aata hai
'amir' aur aane wala kaun hai gor-e-ghariban par
jo raushan shama hoti hai to han parwana aata hai
(1454) Peoples Rate This