Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6c0b8f8b5c7d4f4fa5d2c7d69fea9cae, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Saf Kahte Ho Magar Kuchh Nahin Khulta Kahna - Ameer Minai Poetry In English - Darsaal

Saf Kahte Ho Magar Kuchh Nahin Khulta Kahna

saf kahte ho magar kuchh nahin khulta kahna

baat kahna bhi tumhaara hai muamma kahna

ro ke us shoKH se qasid mera rona kahna

hans paDe us pe to phir harf-e-tamanna kahna

masal-e-maktub na kahne mein hai kya kya kahna

na meri tarz-e-KHamoshi na kisi ka kahna

aur thoDi si shab-e-wasl baDha de ya-rab

subh nazdik hamein un se hai kya kya kahna

phaD khata hai jo ghairon ko jhapaT kar sag-e-yar

main ye kahta hun mere sher tera kya kahna

har bun-e-mu-e-mizha mein hain yahan sau tufan

ain ghaflat hai mari aankh ko dariya kahna

wasf-e-ruKH mein jo sune sher wo hans kar bole

sher hain nur ke hai nur ka tera kahna

la sakoge na zara jalwa-e-didar ki tab

arini munh se na ai hazrat-e-musa kahna

kar liya ahd kabhi kuchh na kahenge munh se

ab agar sach bhi kahen tum hamein jhuTa kahna

KHak mein zid se milao na mere aansu ko

sachche moti ko munasib nahin jhuTa kahna

kaise nadan hain jo achchhon ko bura kahte hain

ho bura bhi to use chahiye achchha kahna

dam-e-aKHir tu buto yaad KHuda karne do

zindagi bhar to kiya main ne tumhaara kahna

paDhte hain dekh ke us but ko farishte bhi darud

marhaba salle-ala salle-ala kya kahna

ai buto tum jo ada aa ke karo masjid mein

lab-e-mehrab kahe nam-e-KHuda kya kahna

in hasinon ki jo tarif karo chiDhte hain

sach to ye hai ki bura hai unhen achchha kahna

shauq kabe liye jata hai hawas jaanib-e-dair

mere allah baja laun mein kis ka kahna

sari mahfil ko ishaaron mein luTa do ai jaan

sikh lo chashm-e-suKHan-go se latifa kahna

ghaTte ghaTte mein raha ishq-e-kamar mein aadha

jama-e-tan ko mere chahiye nima kahna

mein to aankhon se baja lata hun irshad-e-huzur

aap sunte nahin kanon se bhi mera kahna

chusti-e-taba se ustad ka hai qaul 'amir'

ho zamin sust magar chahiye achchha kahna

(1307) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saf Kahte Ho Magar Kuchh Nahin Khulta Kahna In English By Famous Poet Ameer Minai. Saf Kahte Ho Magar Kuchh Nahin Khulta Kahna is written by Ameer Minai. Read famous Poem Saf Kahte Ho Magar Kuchh Nahin Khulta Kahna for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Saf Kahte Ho Magar Kuchh Nahin Khulta Kahna in PDF.