Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_448d51a671ff07a85337f916448b7602, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Se Bandha Hai Tasawwur Us RuKH-e-pur-nur Ka - Ameer Minai Poetry In English - Darsaal

Jab Se Bandha Hai Tasawwur Us RuKH-e-pur-nur Ka

jab se bandha hai tasawwur us ruKH-e-pur-nur ka

sare ghar mein nur phaila hai charagh-e-tur ka

baKHt-e-wazhun se jale kyun dil na mujh mahrur ka

marham-e-kafur se munh aa gaya nasur ka

is qadar mushtaq hun zahid KHuda ke nur ka

but bhi banwaya kabhi main ne to sang-e-tur ka

tujh ko lae ghar mein jannat ko jalaya rashk se

ham-baghal tujh se hue pahlu dabaya hur ka

gor-e-kafir kis liye hai tira-o-tar is qadar

paD gaya saya magar meri shab-e-dijur ka

husn-e-yusuf aur tere husn mein itna hai farq

choT ye nazdik ki hai war tha wo daur ka

qasr-e-tan bigDa kisi ka gorkan ki ban paDi

ghar kisi ka gir paDa ghar bin gaya mazdur ka

chehra-e-jaanan se sharma kar chhupaya KHuld mein

KHama-e-taqdir ne khincha jo naqsha hur ka

hajat-e-mushshata kya ruKHsar-e-raushan ke liye

dekh lo gul kaTta hai kaun sham-e-tur ka

zulf-o-ru-e-yar se nairang-e-qudrat hai ayan

mahr ke panje mein hai daman shab-e-dijur ka

KHaksari kar jo ho manzur aankhon mein jagah

KHak ho kar surma bin jata hai patthar taur ka

ghafilon ke kan kab khulte hain san kar shor-e-hashr

sone walon ko jaga sakta nahin ghul dur ka

puchh lena sab watan ka haal ai ahl-e-adam

baiTh lene do zara aata hun uTTha daur ka

ijz karte hain adu-e-jaan se bhi KHasan-e-haq

jhuk gaya sar aage pa-e-dar par mansur ka

maut kya aai tap-e-furqat se sehat ho gai

dam nikalne se badan ThanDa hua ranjur ka

jate hain mai-KHana-e-alam se hum su-e-adam

kah do az-KHud-raftagi se hai irada dur ka

muziyon ko hadson se dahr ke kya KHauf hai

barish-e-baran se ghar girta nahin zambur ka

chashm-e-saghar be-sabab har dam lahu roti nahin

mughbachon se saqiya dil phaT gaya angur ka

jate hain mai-KHana-e-alam se hum su-e-adam

kah do az-KHud-raftagi se hai irada dur ka

ki nazar jis par kudurat se raha KHamosh wo

hai asar gard-e-nigah-e-yar mein sindur ka

jalwa-e-mashuq har ja hai basirat ho agar

kirmak-e-shab-tab mein aalam hai sham-e-tur ka

mar ke yaran-e-adam ke pas pahunchunga 'amir'

chalte chalte jaan jaegi safar hai dur ka

(1293) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Bandha Hai Tasawwur Us RuKH-e-pur-nur Ka In English By Famous Poet Ameer Minai. Jab Se Bandha Hai Tasawwur Us RuKH-e-pur-nur Ka is written by Ameer Minai. Read famous Poem Jab Se Bandha Hai Tasawwur Us RuKH-e-pur-nur Ka for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Jab Se Bandha Hai Tasawwur Us RuKH-e-pur-nur Ka in PDF.