Hua Jo Paiwand Main Zamin Ka To Dil Hua Shad Mujh Hazin Ka
hua jo paiwand main zamin ka to dil hua shad mujh hazin ka
bas ab irada nahin kahin ka ki rahne wala hun main yahin ka
qarib hai yaro roz-e-mahshar chhupega kushton ka KHun kyunkar
jo chup rahegi zaban-e-KHanjar lahu pukarega aastin ka
ajab muraqqa hai bagh-e-duniya ki jis ka sanea nahin huwaida
hazar-ha suraten hain paida pata nahin surat-afrin ka
hawa-e-mai mein hun mahw aisa chaman mein ghir kar jo abr aaya
siyah-masti mein main ye samjha jahaz hai aab-e-atashin ka
'amir' dekha jo us ka naqsh to naqsh yusuf ka dil se utra
ki naqsh-e-sani ke aage hota farogh kya naqsh-e-awwalin ka
(1070) Peoples Rate This