HaTao Aaina Ummid-war Hum Bhi Hain
haTao aaina ummid-war hum bhi hain
tumhaare dekhne walon mein yar hum bhi hain
taDap ke ruh ye kahti hai hijr-e-jaanan mein
ki tere sath dil-e-be-qarar hum bhi hain
rahe dimagh agar aasman pe dur nahin
ki tere kuche mein mast-e-ghubar hum bhi hain
kaho ki naKHl-e-chaman hum se sar-kashi na karen
unhin ki tarah se bagh-o-bahaar hum bhi hain
hamare aage zara ho samajh ke zamzama-sanj
ki ek naghma-sara ai hazar hum bhi hain
kahan tak aaine mein dekh-bhaal idhar dekho
ki ek nigah ke ummid-war hum bhi hain
sharab munh se lagate nahin hain ai zahid
firaq-e-yar mein parhez-gar hum bhi hain
hamara nam bhi likh lo jo hai qalam jari
qadim aap ke KHidmat-guzar hum bhi hain
huma hain gird meri haDDiyon ke aaTh pahr
sag aa ke kahte hain ummid-war hum bhi hain
jo laDkhaDa ke gire tu qadam pe saqi ke
'amir' mast nahin hoshyar hum bhi hain
(1042) Peoples Rate This