Hans Ke Farmate Hain Wo Dekh Ke Haalat Meri
hans ke farmate hain wo dekh ke haalat meri
kyun tum aasan samajhte the mohabbat meri
baad marne ke bhi chhoDi na rifaqat meri
meri turbat se lagi baiThi hai hasrat meri
main ne aaghosh-e-tasawwur mein bhi khencha to kaha
pis gai pis gai bedard nazakat meri
aaina subh-e-shab-e-wasl jo dekha to kaha
dekh zalim ye thi sham ko surat meri
yar pahlu mein hai tanhai hai kah do nikle
aaj kyun dil mein chhupi baiThi hai hasrat meri
husn aur ishq ham-aghosh nazar aa jate
teri taswir mein khinch jati jo hairat meri
kis DhiTai se wo dil chhin ke kahte hain 'amir'
wo mera ghar hai rahe jis mein mohabbat meri
(956) Peoples Rate This