Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c3aa912424ebc6ff5b8de1b2e721d024, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ham-sar-e-zulf Qad-e-hur-e-shamail Thahra - Ameer Minai Poetry In English - Darsaal

Ham-sar-e-zulf Qad-e-hur-e-shamail Thahra

ham-sar-e-zulf qad-e-hur-e-shamail Thahra

lam ka KHub alif madd-e-muqabil Thahra

dida-e-tar se jo daman mein gira dil Thahra

bahte bahte ye safina lab-e-sahil Thahra

ki nazar ru-e-kitabi pe to kuchh dil Thahra

maktab-e-shauq bhi quran ki manzil Thahra

nighat-e-gul se pareshan hua us ka dimagh

KHanda-e-gul na hua shor-e-anadil Thahra

najd se qais jo aaya mare zindan ki taraf

der tak gosh-bar-awaz-e-salasil Thahra

husn jis tifl ka chamka wo hua bais-e-qatl

jis ne talwar sambhaali mera qatil Thahra

KHat jo nikla ruKH-e-jaanan pe mila bosa-e-KHal

yahi dana faqat is kisht ka hasil Thahra

alam ek nuqta jo mashhur tha ai josh-e-junun

ghaur se ki jo nazar nuqta-e-baatil Thahra

dur jab tak the taDapta tha mein kaisa kaisa

pas aa kar wo jo Thahre to mera dil Thahra

kasrat-e-dagh se gul-dasta bana dil to kya

zinat-e-bagh na aaraish-e-mahfil Thahra

dauDta qais bhi aata hai nihayat hi qarib

ek zara naqe ko ai sahib-e-mahmil Thahra

dam jo betab tha muddat se mere sine mein

tegh-e-qatil ke tale kuchh dam-e-bismil Thahra

hum baDi dur se aae hain tumhaara hai ye haal

ghar se darwaze tak aana kai manzil Thahra

ab tak aati hai sada turbat-e-laila se 'amir'

sarban ab to KHuda ke liye mahmil Thahra

(1056) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ham-sar-e-zulf Qad-e-hur-e-shamail Thahra In English By Famous Poet Ameer Minai. Ham-sar-e-zulf Qad-e-hur-e-shamail Thahra is written by Ameer Minai. Read famous Poem Ham-sar-e-zulf Qad-e-hur-e-shamail Thahra for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Ham-sar-e-zulf Qad-e-hur-e-shamail Thahra in PDF.