Hain Na Zindon Mein Na Murdon Mein Kamar Ke Aashiq
hain na zindon mein na murdon mein kamar ke aashiq
na idhar ke hain ilahi na udhar ke aashiq
hai wahi aankh jo mushtaq tere did ki ho
kan wo hain jo rahen teri KHabar ke aashiq
jitne nawak hain kaman-dar tere tarkash mein
kuchh mere dil ke hain kuchh mere jigar ke aashiq
barhaman dair se kabe se phir aae haji
tere dar se na sarakna tha na sarke aashiq
aankh dikhlao unhen marte hon jo aankhon par
hum to hain yar mohabbat ki nazar ke aashiq
chhup rahe honge nazar se kahin anqa ki tarah
tauba kije kahin marte hain kamar ke aashiq
be-jigar marka-e-ishq mein kya Thahrenge
khate hain KHanjar-e-mashuq ke charke aashiq
tujh ko kaba ho mubarak dil-e-viran hum ko
hum hain zahid usi ujDe hue ghar ke aashiq
kya hua leti hain pariyan jo balaen teri
ki pari-zad bhi hote hain bashar ke aashiq
be-kasi dard-o-alam dagh tamanna hasrat
chhoDe jate hain pas-e-marg ye tarke aashiq
be-sabab sair-e-shab-e-mah nahin hai ye 'amir'
ho gae tum bhi kisi rashk-e-qamar ke aashiq
(1024) Peoples Rate This