Gale Mein Hath The Shab Us Pari Se Rahen Thin
gale mein hath the shab us pari se rahen thin
sahar hui to wo aankhen na wo nigahen thin
nikal ke chehre pe maidan saf KHat ne kiya
kabhi ye shahr tha aisa ki band rahen thin
firaq mein tere aashiq ko ja ke kal dekha
ki wo to hech tha kuchh ashk the kuchh aahen thin
bagule ab hain ki ghurbat hai gor-e-shahan par
saron pe chatr jilau mein kabhi sipahen thin
hazaron loT gae kal uThi jo wo chilman
KHadang mu-e-mizha barchhiyan nigahen thin
kiya ye shauq ne andha mujhe na sujha kuchh
wagarna rabt ki us se hazar rahen thin
ye zoaf hai ki nikalti nahin hain ab dil se
kabhi falak se bhi unchi hamari aahen thin
jigar mein hijr ki kal chubh rahi thin kuchh fansen
magar jo ghaur se dekha teri nigahen thin
pahunch gae sar-e-manzil chale jo chaal nai
unhin mein pher tha dekhi hui jo rahen thin
falak ke daur se duniya badal gai warna
jahan bane hain ye mai-KHane KHan-qahen thin
ye zoaf ab hai ki hilna giran hai qadmon ko
subuk-rawi mein kabhi in ko dastgahen thin
mushaere se hasin kyun na chhin le jate
rubaiyan meri chu go shubh kulahen thin
hasin zar ke hain talib ki ab hain gird-e-'amir'
gharib hum the to ye pyar tha na chahen thin
(845) Peoples Rate This