Amir Lakh Idhar Se Udhar Zamana Hua
amir lakh idhar se udhar zamana hua
wo but wafa pe na aaya main be-wafa na hua
sar-e-niyaz ko tera hi aastana hua
sharab-KHana hua ya qimar-KHana hua
hua farogh jo mujh ko gham-e-zamana hua
paDa jo dagh jigar mein charagh-e-KHana hua
ummid ja ke nahin us gali se aane ki
ba-rang-e-umr mera nama-bar rawana hua
hazar shukr na zae hui meri kheti
ki barq o sail mein taqsim dana dana hua
qadam huzur ke aae mere nasib khule
jawab-e-qasr-e-sulaiman gharib-KHana hua
tere jamal ne zohra ko daur dikhlaya
tere jalal se mirriKH ka zamana hua
koi gaya dar-e-jaanan pe hum hue pamal
hamara sar na hua sang-e-astana hua
farogh-e-dil ka sabab ho gai bujhi jo hawas
sharar-e-kushta se raushan charagh-e-KHana hua
jab aai josh pe mere karim ki rahmat
gira jo aankh se aansu dur-e-yagana hua
hasad se zahr tan-e-asman mein phail gaya
jo apni kisht mein sarsabz koi dana hua
chune mahinon hi tinke gharib bulbul ne
magar nasib na do roz aashiyana hua
KHayal-e-zulf mein chhai ye tirgi shab-e-hijr
ki KHal-e-chehra-e-zaKHmi charagh-e-KHana hua
ye josh-e-girya hua mere said hone par
ki chashm-e-dam ke aansu se sabz dana hua
na puchh naz-o-niyaz us ke mere kab se hain
ye husn o ishq to ab hai use zamana hua
uThae sadme pe sadme to aabru pai
amir TuT ke dil gauhar-e-yagana hua
(1512) Peoples Rate This