Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e4a00c597b279ca21b76c1c9aafe5fba, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Marka Ki Aaj Bhi Sar Ho Nahin Saka - Ameer Imam Poetry In English - Darsaal

Wo Marka Ki Aaj Bhi Sar Ho Nahin Saka

wo marka ki aaj bhi sar ho nahin saka

main thak ke muskura diya jab ro nahin saka

is bar ye hua teri yaadon ki bhiD mein

har gam KHud ko mil gaya main kho nahin saka

jaga hun gahri nind se lekin ajib baat

ye lag raha hai jaise ki main so nahin saka

ug aai ghas ishq ke malbe pe har taraf

hum donon mein se koi use dho nahin saka

jadu-nagar hai koi mera andarun jahan

hota raha hai wo jo kabhi ho nahin saka

(907) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Wo Marka Ki Aaj Bhi Sar Ho Nahin Saka In English By Famous Poet Ameer Imam. Wo Marka Ki Aaj Bhi Sar Ho Nahin Saka is written by Ameer Imam. Read famous Poem Wo Marka Ki Aaj Bhi Sar Ho Nahin Saka for youth and Student by Ameer Imam. Free Download Wo Marka Ki Aaj Bhi Sar Ho Nahin Saka in PDF.