Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1c8dd4c614c958117dda464d5f070902, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shahr Mein Sare Charaghon Ki Ziya KHamosh Hai - Ameer Imam Poetry In English - Darsaal

Shahr Mein Sare Charaghon Ki Ziya KHamosh Hai

shahr mein sare charaghon ki ziya KHamosh hai

tirgi har samt phaila kar hawa KHamosh hai

subh ko phir shor ke ham-rah chalna hai use

raat mein yun dil dhaDakne ki sada KHamosh hai

kaisa sannaTa tha jis mein lafz-e-kun kahne ke baad

gumbad-e-aflak mein ab tak KHuda KHamosh hai

kuchh batata hi nahin guzri hai kya pardes mein

apne ghar ko lauTta ek qafila KHamosh hai

uTh rahi hai meri miTTi se sada-e-al-atash

KHali mashkiza liye apna ghaTa KHamosh hai

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Mein Sare Charaghon Ki Ziya KHamosh Hai In English By Famous Poet Ameer Imam. Shahr Mein Sare Charaghon Ki Ziya KHamosh Hai is written by Ameer Imam. Read famous Poem Shahr Mein Sare Charaghon Ki Ziya KHamosh Hai for youth and Student by Ameer Imam. Free Download Shahr Mein Sare Charaghon Ki Ziya KHamosh Hai in PDF.