Har Ek Sham Ka Manzar Dhuan Ugalne Laga
har ek sham ka manzar dhuan ugalne laga
wo dekho dur kahin aasman pighalne laga
to kya hua jo mayassar koi libas nahin
pahan ke dhup main apne badan pe chalne laga
main pichhli raat to bechain ho gaya itna
ki us ke baad ye dil KHud-ba-KHud bahalne laga
ajib KHwab the shishe ki kirchiyon ki tarah
jab un ko dekha to aankhon se KHun nikalne laga
bana ke daera yaaden simaT ke baiTh gain
ba-waqt-e-sham jo dil ka alao jalne laga
(1167) Peoples Rate This