Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8240ae233f52003d543e84cce3249b3c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Is Jahan-e-barhana Ka Istiara Hua - Ameer Imam Poetry In English - Darsaal

Ab Is Jahan-e-barhana Ka Istiara Hua

jo ab jahan-e-barhana ka istiara hua

main zindagi tera ek pairahan utara hua

siyah-KHun Tapakta hai lamhe lamhe se

na jaane raat pe shab-KHun hai kis ne mara hua

jakaD ke sanson mein tashhir ho rahi hai meri

main ek qaid sipahi hun jang haara hua

phir is ke baad wo aansu utar gaya dil mein

zara si der ko aankhon mein ek sharara hua

KHuda ka shukr meri tishnagi palaT aai

chali gai thi samundar ka jab ishaara hua

amir imam mubarak ho fath-e-ishq tumhein

ye dard-e-mal-e-ghanimat hai sab tumhaara hua

(926) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Is Jahan-e-barhana Ka Istiara Hua In English By Famous Poet Ameer Imam. Ab Is Jahan-e-barhana Ka Istiara Hua is written by Ameer Imam. Read famous Poem Ab Is Jahan-e-barhana Ka Istiara Hua for youth and Student by Ameer Imam. Free Download Ab Is Jahan-e-barhana Ka Istiara Hua in PDF.