Shair Ki Duniya
hota hun jab main tanha ye sochta hun aksar
aabaadiyan hain achchhi ya jangalon ke manzar
shair hun main mera ho maskan alag jahan se
shahron ke shor-o-ghul se tarik aasman se
sae mein peD ke main bistar lagaun apna
ThanDi hawa ho aati bahta ho saf dariya
ranginiyan shafaq ki dil ko mere lubhaen
shams-o-qamar jahan ke qisse nae sunaen
qudrat ka ham-zaban hun aur us ke bhed paun
gahraiyon mein us ki goya utar main jaun
2
par aql ka hai kahna ye sab ghalat hai nadan
gungi hai teri qudrat manzar hain us ke be-jaan
be-kar hai agar tu dasht-o-jabal basae
be-sarfa hai agar tu hamdam unhen banae
shair tujhe hain kahte hai ishq tera jina
fitrat hai pak teri tu qalb-e-tur-e-sina
tu nur-e-sarmadi ki hai jhalkiyan dikhata
insan ko aasman ki sairen hai to karaata
tera qalam jahan hain halchal si Dalta hai
Dube ubhaarta hai girte sambhaalta hai
3
par kyun tujhe ai shair basti se hai kudurat
aabaadiyon mein pal kar aabaadiyon se nafrat
insan aur us ki fitrat parkhi nahin hai tu ne
aalam aur us ki wusat pai nahin hai tu ne
matam kahin bapa hai KHushiyan kahin hain hoti
iqbaal hai kahin to qismat kahin hai soti
jo ek taraf qaza ke tufan aa rahe hain
to ek taraf sahab-e-rahmat bhi chha rahe hain
tera hai rutba aali is bazm-e-zindagi mein
aa aa sharik ho ja is razm-e-zindagi mein
aalam ko ghaTa de aasaishen baDha de
sham-e-suKHan jala kar sab zulmaten haTa de
aa kab se muntazir hai aadam ka ye gharana
aabaad is mein ho ja teri yahi hai duniya
(698) Peoples Rate This