Tera KHayal Tha Lafzon Mein Dhal Gaya Kaise
tera KHayal tha lafzon mein Dhal gaya kaise
dilon mein sham-e-ghazal ban ke jal gaya kaise
wo aadmi jo mera dost tha zamane tak
pata nahin ki yakayak badal gaya kaise
bahut hi tez hawa sher-e-hadsat ki thi
main girte girte na jaane sambhal gaya kaise
kahin bhi aag lagane ka waqia na hua
to phir huzur makan mera jal gaya kaise
KHalish se jis ki thi wabasta yaad manzil ki
wo KHar panw se 'KHusraw' nikal gaya kaise
(718) Peoples Rate This