Kaun Kahta Hai Sar-e-arsh-e-barin Rahta Hai
kaun kahta hai sar-e-arsh-e-barin rahta hai
wo to ek dard hai jo dil ke qarin rahta hai
chand par apne qadam aap ne kyun rok liye
ek gam aur ki suraj bhi yahin rahta hai
shama ki tarah pighalta hun main lamha lamha
mere ehsas mein ek shoala-jabin rahta hai
dil ke darwaze pe ab kis ko sada dete ho
muddaten guzrin yahan koi nahin rahta hai
wo jo suraj ko hatheli pe liye phirta tha
unhin tarik si galiyon mein kahin rahta hai
jin fazaon mein tamannaon ka dam ghaTta hai
han mere daur ka fankar wahin rahta hai
jaane ye shauq ki hai kaun si manzil 'KHusraw'
main kahin rahta hun dil mera kahin rahta hai
(808) Peoples Rate This