Tum Aur Hum
tum badan ki sath ke tairak banna chahte the
tum the nazzaron ke sahil par tamasha-bin aur shauqin
tum pahunchna chahte the pairahan ke par
jild tak mahdud tha zauq-e-jamal
gosht tha maqsud-e-parwaz-e-KHayal
inkishaf-e-jism tha afkar-e-ali ka kamal
daman o band-e-qaba angiya dupaTTe painche
the tumhaari shaeri ke mashghale
aur tumhaare masale aur marhale
aur hum hain ruh ki ehsas ki gahraiyon ke ghota-KHor
zindagi mein aur hum mein raaz ab utne nahin
zindagi kya aur duniya kya hamare samne hain be-hijab
jild kya aur gosht kya aur jism kya
x-ray screen par hain haDDiyan tak be-libas
bar-ha dekhi hui chizon ko phir se dekhna
bar-ha bhogi hui chizon ko phir se bhogna
bhog kar KHush hona khuDhna, tilmilana sochna
sochna aur soch ke karan ko pichhe chhoD kar
napte phirna azal se ta-abad
soch ka sahra-e-na-paida-kanar
aarzu-e-did ke shaalon mein tum chalte rahe
did ke shoalon mein hum lipTe hue hain
tum parai aag mein jalte rahe
aur hum jalte hain apni aag mein
aur ab apne parae mein kahan hai koi bhed
ek hi aakash apne bazuon mein bhenchta hai
ek taKHt-al-arz chashma sab jaDon ko sinchta hai
ek hi shoala nason ko khinchta hai
(900) Peoples Rate This