Pareshani-e-did
wo pareshan hai
meri nazron ko apne badan se lipaTte chimaTte hue dekh kar
kitni bechain hai
sandalin jism par goya lipTe hue sanp hi sanp hon
aur main
us ke har ang par
apni nazren jamae hue
sar-ba-sar aankh hun
zer-o-bam zer-o-bam pech-o-KHam pech-o-KHam
saq zanu jabin pusht sar-ta-qadam
meri laser shuaon ke is jal mein
zulf sina kamar pura akwariom
pairahan jild aur gosht ke par ka sara ahwal bhi
jaanta hun use bhi ye malum hai
jaanti hai ki hum hain baham tak mile phir bhi wo kyun pareshan hai
(806) Peoples Rate This