Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8dadf361e1eace3e53edcfa97dc54955, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Maut Meri Jaan Maut - Ameeq Hanafi Poetry In English - Darsaal

Maut Meri Jaan Maut

maut meri jaan maut

tu baDi muddat se meri tak mein hai

zindagi mamta bhari man

aur tu ai maut ek mashuqa wa-aghosh

ret aur patthar hazaron sal ham-bistar rahe lekin

ghas ki patti bhi paida kar na pae

zindagi aur ye zamana bhi baDi muddat se ham-aghosh hain

KHair is qisse ko chhoD kar

dekh

richh ke pairon sa dast-e-sud-KHwar

apne TeDhe meDhe naKHun

ya teri wahshi-nigah

mere sine mein gaD diye ja raha hai

aankh

KHalwat ki jhulasti ret par

aab-pash

aur tapti ret se

koi konpal

koi rang

koi KHushbu

koi shai uThti nahin

ek bhura-pan

KHalwat-e-be-rang ko bad-rang kar jata hai bas

raushnai KHushk nib TuTi hui kaghaz ki aankhen nam

dimakon ka ghar dimagh

aur meri tak mein tu

kyun rag-o-pai mein sarayat kar raha hai ye siyah ehsas

lamha lamha KHatm hota ja raha hun

aankh se Tapke hue ashkon ke sath

qatra qatra KHatm!

nuqta nuqta KHatm!

chhah tabassum qarz le kar

sud mein apne badan ka gosht ada karne ke har wade ke sath

KHatm hote ja rahe mujh ko agar pa bhi gai to kya karegi

maut meri jaan maut

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maut Meri Jaan Maut In English By Famous Poet Ameeq Hanafi. Maut Meri Jaan Maut is written by Ameeq Hanafi. Read famous Poem Maut Meri Jaan Maut for youth and Student by Ameeq Hanafi. Free Download Maut Meri Jaan Maut in PDF.