LaKHt LaKHt
ye TukDe ye reze ye zarre ye qatre ye reshe
ye meri samajh ki nasini ke padan
inhen joDta hun to koi badan
na koi surahi na sahra na dariya na koi shajar kuchh bhi banta nahin
lakiron se KHake ubharte hain lekin
ye koshish miTai hui suraten phir banati nahin
ki wo jaan jis se ye sara jahan
hararat se harkat se mamur tha ab kahan hai
meri aql ne sard aahan ke be-jaan TukDon ko aalat ki shakl mein Dhaal kar
mere toDne joDne ke amal mein lagaya
jala kar har ek jism ko phunk kar jaan ko rakh se apni zambil bhar li
to is rakh se kaise wo suraten phir janam len
jinhen waqt ne aur main ne miTaya
(805) Peoples Rate This