Dua
an-ginat shamsi-nizamon ke bakheDon se agar
ek zara fursat mile to
meri aankhon ki namida kor par ashk-e-nadamat ki taraf bhi dekh lena
jhilmilata ek sitara jaise istighfar ka koi wazifa
ye zamin
teri maKHluqat ka adna sa zarra
aur is zarre ka main juzw-e-haqir
mera hissa nabz-e-maani ki KHush-ahangi mein lafzon ko nachana
apne hi ham-shakl jarsumon ki phailai hui bimariyon ke
x-ray photo mere alfaz
ghair duniya ghair is ka tajraba
lafz ghair aahang ghair
phir bhi mere kan mein phunka kisi ne
jo bhi kuchh main kar raha hun
jo bhi kuchh main likh raha hun
wo meri taKHliq hai
main bhi apne aap mein taKHliq-kar
aur ye shaitan phunk
mere sar mein chaDh gai
main ne apni ruh ko
paniyon par chhe dinon tak be-takan jumbish mein paya
lafz-e-kun ka wird kar ke aankh jab kholi to dekha
ye zamin ye aasman
raushni pani faza KHushki daraKHt
chand suraj kahkashan haiwan jin insan malak
ek coras ban gae hain
aur mujh par hans rahe hain
mere aage pichhe sharr-e-ma-KHalaq hai
ai tulu-e-subh ke rab
ek zara fursat mile to
meri is gum-sum ana ko
apne suraj ki zara si raushni aur aanch de dena
aur kah dena meri maKHluq ja meri nishani ban
mujh se apni ruh ke
ya ruh se mere guzarne ki kahani ban
(1111) Peoples Rate This