Bambai Raat Samundar
samundar bolta hai
samundar apni pur-asrar maujon ki zaban mein bolta hai
samundar ki sadaen chir deti hain shab-e-tarik ki chadar
ubal paDti hain
tasalsul aur tawatur ke dawair mein thirakti hain
suron ke dane ek tasbih ban jate hain lai ke narm hathon mein
jo is aawaz ke jadu ke bas mein hote jate hain
samundar ka kinara saleT hai jis par
umaDti Dubti lahren bikhar kar chhoD jati hain
samundar chhin ke iqlidsi KHake
ajab andaz ki tajridi taswiren
mohan-jodaDo se pahle ke rasm-ul-KHat ki tahriren
paDe hain gate-way-of-india ke farsh par be-ghar bhikari
udhar hain kuchh juari
idhar ek happy laDki apne happy dost ke pahlu mein simTi
chilam ka dam lagati hai
suragh-e-jannat-ul-maut ke talib hain donon ek sadhu se
hashishi nashshe ke dariya mein ghote kha rahe hain
hashishi nashshe hi ki mauj hai goya samundar ki sada bhi
samundar ki siyahi par wo pili raushni ke phul
jahazon ne bikhere hain
andhere mein nazar aata nahin jin ka koi mastul
jahaz aaram karte hain
jahazi shahr ke ishrat-kadon mein ghota-zan honge
hujum-e-hashr-saman ke samundar mein
jahazi chand qatron ki tarah ghul-mil gae honge
yahan to narsi-sas bhi kahin bhi KHud-girafta rah nahin sakta
samundar chheDta hai sahirana simfani jis mein
nawajil dewtaon ke azal-asar shankhon ki
nawajil dewiyon ke mor-pankhon ki
sada aapas mein dhakka marti munh-zor maujon ki
sada sahil ki chaTTanon se Takraati hui pur-shor maujon ki
sada us shahr ki jo nashshe ke aalam mein jari aur sari hai
sada us shahr ki jis ke muqaddar mein hai roz o shab ki bedari
sada us shahr ki jis mein daraKHton aur parindon se ziyaada aadmi honge
sada us shahr ki jis mein ki insanon ke chhatte aasman chhute hue malum hote hain
ubal paDta hai darwazon se galiyon aur saDkon ke muhanon se
ek aadam-zad chyunTi-dal
jahan har-dam bala-raftar karon aur bason ki ham-nawa ban kar
mashinen ahd-e-hazir ka qasida paDhti rahti hain
samundar ke kinare ka mashini shahr sazina hai
jis par aatish o aahan ke naghme raqs karte hain
samundar ke kinare mard o zan ka ek samundar aur bhi hai
samundar ki sada mein us samundar ki sadaen Dub jati hain
be-karani ki sada mein
(1040) Peoples Rate This