Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_600b3bbd2d96e74eee6db72b08c824ac, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kahne Ko Sham-e-bazm-e-zaman-o-makan Hun Main - Ameeq Hanafi Poetry In English - Darsaal

Kahne Ko Sham-e-bazm-e-zaman-o-makan Hun Main

kahne ko sham-e-bazm-e-zaman-o-makan hun main

socho to sirf kushta-e-daur-e-jahan hun main

aata hun main zamane ki aankhon mein raat din

lekin KHud apni nazron se ab tak nihan hun main

jata nahin kinaron se aage kisi ka dhyan

kab se pukarta hun yahan hun yahan hun main

ek Dubte wajud ki main hi pukar hun

aur aap hi wajud ka andha kuan hun main

cigarette jise sulagta hua koi chhoD de

us ka dhuan hun aur pareshan dhuan hun main

(831) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahne Ko Sham-e-bazm-e-zaman-o-makan Hun Main In English By Famous Poet Ameeq Hanafi. Kahne Ko Sham-e-bazm-e-zaman-o-makan Hun Main is written by Ameeq Hanafi. Read famous Poem Kahne Ko Sham-e-bazm-e-zaman-o-makan Hun Main for youth and Student by Ameeq Hanafi. Free Download Kahne Ko Sham-e-bazm-e-zaman-o-makan Hun Main in PDF.