Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c905065f14b294524566f4724f9b1cde, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Arz-e-muddaa Karte Kyun Nahin Kiya Humne - Ameeq Hanafi Poetry In English - Darsaal

Arz-e-muddaa Karte Kyun Nahin Kiya Humne

arz-e-muddaa karte kyun nahin kiya hum ne

KHwahishon ko hasrat mein KHud badal diya hum ne

nit nai umidon ke Tank Tank kar paiwand

zindagi ke daman ko umr-bhar siya hum ne

ranj-o-gham uThae hain fikr-o-fan bhi pae hain

zindagi ko jitna bhi ji sake jiya hum ne

subh ka naya suraj kuchh to raushni lega

sham se jalaya hai aas ka diya hum ne

dagh-e-dil ki zardari muft hath kab aai

KHak ho ke paya hai raaz-e-kimiya hum ne

(704) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Arz-e-muddaa Karte Kyun Nahin Kiya Humne In English By Famous Poet Ameeq Hanafi. Arz-e-muddaa Karte Kyun Nahin Kiya Humne is written by Ameeq Hanafi. Read famous Poem Arz-e-muddaa Karte Kyun Nahin Kiya Humne for youth and Student by Ameeq Hanafi. Free Download Arz-e-muddaa Karte Kyun Nahin Kiya Humne in PDF.