Amiq ChheD Ghazal Gham Ki Intiha Kab Hai
'amiq' chheD ghazal gham ki intiha kab hai
ye malwe ki junun-KHez chaudhwin shab hai
mujhe shikayat-e-talKHi-e-zahar-e-gham kab hai
mere labon pe abhi kaif-e-shakkr-e-lab hai
lakir khinchti chali ja rahi hai ta-ba-jigar
farogh-e-mai hai ki mashq-e-jarahat-e-shab hai
ye mahwiyat hai ki roab-e-jamal hai tari
KHilaf-e-rasm-e-junun dil bahut muaddab hai
kabhi haram mein hai kafir to dair mein momin
na jaane kya dil-e-diwana tera mazhab hai
bahut muhaal tha warna ki dil fareb mein aae
kisi ke gham se gham-e-kaenat ki chhab hai
chaman mein phul khilati phire bahaar to kya
kisi ke band-e-qaba TuTne lagen tab hai
(808) Peoples Rate This