Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6bb5c924290f4b5586afd84263a15bfb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ainak Ke Donon Shishe Hi ATe Hue The Dhul Mein - Ameeq Hanafi Poetry In English - Darsaal

Ainak Ke Donon Shishe Hi ATe Hue The Dhul Mein

ainak ke donon shishe hi aTe hue the dhul mein

hath paD gaya kanTon par phulon ke badle bhul mein

chhute hi aashaen bikhrin jaise sapne TuT gae

kis ne aTkae the ye kaghaz ke phul babul mein

ishq ke hijje bhi jo na jaanen wo hain ishq ke dawedar

jaise ghazlen raT kar gate hain bachche school mein

ab raaton ko bhi bazaron mein aawara phirte hain

pahle bhanwre ho jate the band kanwal ke phul mein

moTi Dalon wale peD ke patte kaise pile hain

kis ne dekha kaun rog hai chhupa hua jaD mul mein

(1113) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ainak Ke Donon Shishe Hi ATe Hue The Dhul Mein In English By Famous Poet Ameeq Hanafi. Ainak Ke Donon Shishe Hi ATe Hue The Dhul Mein is written by Ameeq Hanafi. Read famous Poem Ainak Ke Donon Shishe Hi ATe Hue The Dhul Mein for youth and Student by Ameeq Hanafi. Free Download Ainak Ke Donon Shishe Hi ATe Hue The Dhul Mein in PDF.