Jo Mai-kade Se Bhi Daman Bacha Bacha Ke Chale
jo mai-kade se bhi daman bacha bacha ke chale
teri gali se jo guzre to laDkhaDa ke chale
hamein bhi qissa-e-dar-o-rasan se nisbat hai
faqih-e-shahr se kah do nazar mila ke chale
koi to jaane ki guzri hai dil pe kya jab bhi
KHizan ke bagh mein jhonke KHunuk hawa ke chale
ab e'tiraf-e-jafa aur kis tarah hoga
ki teri bazm mein qisse meri wafa ke chale
hazar honT mile hon to kya fasana-e-dil
sunane wale nigahon se bhi suna ke chale
kahin suragh-e-chaman mil hi jaega 'rahat'
chalo udhar ko jidhar qafile saba ke chale
(710) Peoples Rate This