Hamin The Jaan-e-bahaaran Hamin The Rang-e-tarab

hamin the jaan-e-bahaaran hamin the rang-e-tarab

hamin hain bazm-e-mai-o-gul mein aaj mohr-ba-lab

wahi tujhe bhi nazar aae be-adab jo log

faqih-e-shahr se uljhe teri gali ke sabab

KHayal-o-fikr ke phir silsile sulag na uThen

ki chubh rahi hai dilon mein hawa-e-gesu-e-shab

bas ek jam ne rindon ki aabru rakh li

wagarna kam na tha waiz ka shor-e-ghaiz-o-ghazab

chalo kali ke tabassum ka raaz puchh aaen

gulon ke qafile chal den chaman se jaane kab

abhi se dhaDkanen KHamosh hoti jati hain

ajib hoga saman wo bhi tum na aaoge jab

hamein hi tab-e-samaat na ho saki 'rahat'

fasana-KHwan ne to chheDa tha zikr-e-ahd-e-tarab

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamin The Jaan-e-bahaaran Hamin The Rang-e-tarab In English By Famous Poet Ameen Rahat Chugtai. Hamin The Jaan-e-bahaaran Hamin The Rang-e-tarab is written by Ameen Rahat Chugtai. Read famous Poem Hamin The Jaan-e-bahaaran Hamin The Rang-e-tarab for youth and Student by Ameen Rahat Chugtai. Free Download Hamin The Jaan-e-bahaaran Hamin The Rang-e-tarab in PDF.