Dekh Koh-e-na-rasa Ban Kar Bharam Rakkha Tera
dekh koh-e-na-rasa ban kar bharam rakkha tera
main ki tha ek zarra-e-be-tab ai sahra tera
kaun saqi kaisa paimana kahan sahba-e-tez
aabru yun rah gai hai sar mein tha sauda tera
sab gireban si rahe hain sehn-e-gul mein baiTh kar
kaun ab sahra ko jae, hai kahan charcha tera
ab anasir mein tawazun DhunDne jaen kahan
hum jise hamraaz samjhe pasban nikla tera
band darwaze kiye baiThe hain ab ahl-e-junun
taKHtiyan namon ki paDh kar kya kare ruswa tera
dad to ahl-e-murawwat de gae rahat tujhe
sher bhi un ko nazar aaya koi achchha tera
(734) Peoples Rate This