Afsana-e-hayat Ko Dohra Raha Hun Main

afsana-e-hayat ko dohra raha hun main

yun apni umr-e-rafta ko lauTa raha hun main

ek ek qadam pe dars-e-wafa de raha hun main

ye kis ki justuju hai kidhar ja raha hun main

ya rab kisi ka dam-e-hasin muntazir na ho

par shauq ke lage hain uDa ja raha hun main

is sehr-e-rang-o-bu ne to diwana kar diya

daman ke tar tar ko uljha raha hun main

soz-e-darun-e-sina ko naghmon mein Dhaal kar

saz-e-nafas ke tar ko barma raha hun main

rah-e-talab mein dekh mere dil ki hasraten

saye mein pa-e-KHizr ko sahla raha hun main

raste ki unch nich se waqif to hun 'amin'

Thokar qadam qadam pe magar kha raha hun main

(692) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Afsana-e-hayat Ko Dohra Raha Hun Main In English By Famous Poet Ameen Hazin. Afsana-e-hayat Ko Dohra Raha Hun Main is written by Ameen Hazin. Read famous Poem Afsana-e-hayat Ko Dohra Raha Hun Main for youth and Student by Ameen Hazin. Free Download Afsana-e-hayat Ko Dohra Raha Hun Main in PDF.