Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a6b2cf572a3d9869d727e1607c8763c3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phul Jaisi Hai Kabhi Ye Khaar Ki Manind Hai - Amber Joshi Poetry In English - Darsaal

Phul Jaisi Hai Kabhi Ye Khaar Ki Manind Hai

phul jaisi hai kabhi ye KHar ki manind hai

zindagi sahra kabhi gulzar ki manind hai

tum qalam ki dhaar ko kam mat samajhna dosto

ye qalam to hai magar talwar ki manind hai

chaar din ke waste sab ko mili hai dahr mein

zindagi bhi ret ki diwar ki manind hai

pas paisa hai nahin phir bhi jahan mein mast hun

zindagi apni kisi fankar ki manind hai

zindagi kis waqt dhoka de de 'ambar' kya pata

ye bhi lagta hai kisi ghaddar ki manind hai

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phul Jaisi Hai Kabhi Ye Khaar Ki Manind Hai In English By Famous Poet Amber Joshi. Phul Jaisi Hai Kabhi Ye Khaar Ki Manind Hai is written by Amber Joshi. Read famous Poem Phul Jaisi Hai Kabhi Ye Khaar Ki Manind Hai for youth and Student by Amber Joshi. Free Download Phul Jaisi Hai Kabhi Ye Khaar Ki Manind Hai in PDF.